Saturday, 13 February 2016

daily paneer khayen budhapa (age effect) door bhagayen.

aap bhi jaaniye image
Doston ham sabhi ye chahte hain ke umr badhne ke sath sath ham sehetmand  rahen aur ham par budhape ka koi asar na ho.iske liye khane peene me ham bohot se aise foods shamil karte hain jinse hamari sehet barqaraar rahe. aisa hi ek food hai paneer(cheese), aaiye jaante hain paneer ke istemaal se kaise ham budhape(age effect) ke asar ko kam kar sakte hain. aur ek behtareen sehetmand life enjoy kar sakte hain.

Paneer me vitamin B, B12, A, D ,calcium aur phosphorus yani jo doodh me paya jata hai wohi sab isme maujood hota hai. paneer ek aisa tasty food hai ke isko har koi pasand karta hai.iska pheeka pheeka zayeqa sabko achha lagta hai.iski koi qaid nahi hai ke aap isko kaise khayen ye har tareeqe se fayedemand hai.

aaiye main aapko batata hun kuchh aisi kamiyan jinki wajah se budhapa ham pe asar andaaz hone lagta hai. aur sath me ye bhi jaane ke paneer khane se in kamiyon me kaise fayeda hota hai.

Waqt rehte jaanch se phephdon (lungs) ke cancer ko de sakte hain maat.

Sardi ke mausam me dama (asthma) ko kaise control karen.

aap bhi jaaniye imageHaddiyan kamzor ho jana.
Paneer me paya jane wala phosphorus,zinc,vitaminA,aur calciam ye sab hamare jism ki haddiyon ke liye fayedemand hain. isme vitamin B hota hai jo jism me calciam ki kami ko pura karta hai.paneer me maujood omega3 fatty acid haddiyon ko mazboot bana kar arthritis se hone wali bimari se hifazat karta hai.

Daant tootne lag jana.
Paneer me calcium kafi miqdaar me hota hai, jisse hamre daanton ko mazbooti milti hai. aur sath hi isme lactose bohot kam hota hai isi liye paneer daanton ko nuqsaan nahi ponhchta, paneer ka istemaal salvia ke circulation ko badhata hai jiski wajah se daant saaf rehte hain.

Gathiya baaye ho jana.
Agar aap paneer ka istemaal karte hain to gathiya baaye se aap bache reh sakte hain, isme maujood calcium aur protein gathiya baaye ko rokta hai. gathiya baaye ke mareez bhi iska istemaal kar sakte hain.

Blood pressure high/low problem ho jana.
Paneer ka istemaal blood pressure ko bhi control karta hai, jo umr badhne ke sath saht hone wali ek aam bimari hai.


Neend kam ho jana.
Agar aap raat ko sote waqt paneer kha kar sote hain to ye apki neend ko behtar kar deta hai,paneer me tryptophan amino acid hota hai jo tanaw ko kam karke achhi neend lane me bohot ziyada help karta hai.aur jo log puri neend sote hain un par umr ka asar jaldi zahir nahi hota.

Depression badh jana.
Paneer me tryptophan amino acid hone ki wajah se ye depression aur stress ko bhi kam karta hai,jisse apka mood fresh ho jata hai aur aap dil lagakar apna kaam behtar tareeqe se karte hain.

Cancer problems ho jana.
Paneer me paye jane wale sabhi high quality protein breast cancer hone se rokte hain, paneer me maujood conjugated linoleic acid cancer ko khatm karne me aham role ada karta hai.

Motapa had se ziyada badh jana.
Paneer me calcium aur protein ka ek bada khazana hota hai.aur sath me linoleic acid inta ziyada hota hai jo jism ki badhi hui charbi ko kam karke motape se nijaat dilata hai. mote logon ko khaas taur se paneer ka istemaal karna chahiye.

Digestive system kamzor ho jana.
Digestive system ki kamzori door karne ke liye rozana paneer khayen, isme maujood fiber digestive system ko mazboot karta hain. sath hi iska rozana istemaal hamari immunity power ko strong banata hai, jisse bimariyon se ladne ki taqat badh jati hai aur jaldi se koi bimari nahi hoti.

Diabetes ho jana.
Paneer khane ka ek fayeda ye bhi hai ke ye diabetes ko rokta hai. diabetes ke mareezon ko iska istemaal zaroor karna chahiye.

Calcium ki kami ho jana.
Aksar pregnant ladies me calcium ya phosphorus ki kami ho jati hai, aur pregnancy me inki kami se bachhe ki growth par bura asar  padta hai.pregnant ladies ko paneer ka iistemaal karna chahiye,bachhe ki paidaish me asaani ke liye bhi ye fayedemand hai.

Agar aap rozana paneer ka istemaal karte hain to budhapa apke nazdeek nahi ayega aur khila khila chehra aapki pehchaan ban jayega.

Doston aapko ye jaankari pasand aye to share zaroor karen.

Thursday, 11 February 2016

hidden camera dhoonden smartphone app se.

aapbhijaaniye

Doston yeh to ham sabhi jaante hain ke aajkal har ek kaam me technology ka istemaal hone laga hai. baat karte hain "hidden cameras" ki, pehle ham dekhte they ke hidden cameras ka istemaal sarkari daftaron,banks,atm aur aisi hi doosri jagahon par kiya jata tha. lekin phir inka istemaal har jagah hone laga dukandar apni dukano par, factory malik apni factory me workers par nazar rakhne me karne lage, aur ab to inka istemaal sadkon par chaurahon par logon ki harkaton pe nazar rakhne ke liye bhi hota hai. yahan tak to sab thik hai ke iske istemaal se bohot sare fayde hain aur ye sab istemaal sahi hain.lekin zara sochiye ke agar in cameras ki madad se koi aap par khufiya nazar rakhe to kya aapko ye sahi lagega?

kai bar aisa hota hai ke ham apni family ke sath kahin jate hain. jahan par hamen kisi nai jagah ya kisi relative ke yahan  ya phir hame kisi hotel waghairah me rukna padta hai... kuchh log apne rooms me hidden cameras fit rakhte hain yeh to woh log hi jaane ke woh aisa kyun karte hain lekin ham me se koi bhi nahi chahega ke hamari privcy me koi dakhal andazi kare. ab ham ye kaise pata lagayen ke us jagah ya us room me koi hidden camera to fit nahi hai.aur koi ham par nazar to nahi rakh raha hai. agar hamen koi aisa treeqa pata chal jaye jisse ham us chhupe huye camera ko dhoond saken to kitna achha ho. ji haan doston aaj main aapko hidden camera ko dhoondne ka tareeqa batata hun jo bohot aasan hai.

iske liye aapko ek application"hidden camera detector" download karni padegi. ye application aap google play store se free me download kar sakte hain. isko apne smart phone me install karen.phir jab zarurat ho to application ko run karke  phone hath me lekar us jagah chakkar lagayen jahan aap hidden camera ko dhoondna chahte hain. . agar apka smart phone koi red signal deta hai to iska matlab hai ke wahan par koi electronic device maujood hai.

kaise pata karen kisi mobile number ke owner ka naam.

10 excellent tips android mobile ki safety ke liye.


hidden camera ke aas paas maujood hone par apke smart phone ki screen par ek laal rang ka nishan dikhayi dega. ab aap us area me achhi tarah talash krke us hidden camera ko kisi bhi cheez tap,kaghaz ya kisi kapde se dhak sakte hain.

yeh application (hidden camera detector) aap iphone me bhi install kar sakte hain. lekin ye iphone ke liye free nahi hai, aap iTune se isko 350 rupees me khareed sakte hain.

agar post achhi lagi ho to share zaroor karen, aur hamen subscribe bhi kren.