Doston sardi ke mausam me jahan health se related bohot sare faayde hote hain wahin kuchh mushkilen bhi hoti hain. khaas taur se asthma(dama) ke mareezon ke liye sardi ka mausam bada diqqaton wala hota hai is mausam me unki health par bohot bura asar padta hai.
asthma kya hai,iski pehchan kya hai, aur kin wajahon se ye hota hai, isko kaise control karen aur iska ilaaj kya hai aaiye jaante hain.
Asthma(dama) phephron ki bimari hai.is bimari me saans ki nali me sujan aa jati hai aur woh sikud jati hai.yeh bimari har umr ke logon ko apni giraft me le sakti hai.bachhon ko bhi ye marz pareshan karta hai. Asthma ke marizon ki preshaniyan sardi ke mausam me bohot ziyada barh jati hain.
Asthma ki pehchan:~
- Seene me ghabrahat mehsoos hona.
- Saans lene me takleef hona.
- Khansi ana.
- Saans phoolna.
- Seene me dard hona. waqt rehte jaanch se phephdon (lungs) ke cancer ko de sakte hain maat.
- Jin wajahon se dame ka daura padta hai. ya phir pareshani barhti hai unhen allergen kaha jata hai. dhool, dhuaan, phoolon ka parag, aur koi bhi khane ki cheez asthma ki takleef ko barha sakti hai.saans system me infaction aur badalte sard mausam ki wajah se preshani barh jati hai. iske alwa smoking se bhi asthma ki takleef khatarnak had tak barh jati hai. Waise to iske mareezon ko dhuyen aur dhool aur har polution se bachna hi chahiye lekin ham sab jaante hain ke sardi ke mausam me deewali bhi ati hai. aur patakhon se magnies, carbon dioxide,sulphur dioxide aur inke alawa bhi bohot khatarnak dhuan nikalta hai jo asthma ke patient ke liye bohot bura asar dalte hain.
- ILAAJ...Kisi achhe asthma spacialist doctor ko dikhayen. spirometry janch se is marz ka pata lagaya ja sakta hai. Doctor ke mashware se inhaler ka istemaal karen.
- Ehtiyaat... sard mausam me dama ki takleef se bachne ke liye mukammal ooni kapde pehnen aur agar inhaler ka istemaal karte hain to usko apne sath rakhen. Doctor ki di hui dawayen waqt par len. dhool,dhuyen aur sard hawaon se bachne ke liye naak aur munh ko scarf ya muffler se dhak kar rakhen.. Doston apko ye jaankari kaisi lagi agar pasand aaye to share zaroor karen. aur hame subscribe karna na bhulen. aur koi sawal ho to comment karen. post parhne ke liye shukriya...
boht achy
ReplyDeleteThanks for sharing your post. You can overcome asthma issues safely and effectively with natural remedies.visit http://www.hashmidawakhana.org/natural-asthma-relief.html
ReplyDeleteThanks for sharing very useful post. Asthma treatment natural supplement has proven to be safe and effective.visit also http://www.hashmidawakhana.org/natural-asthma-relief.html
ReplyDeleteAsthma can be treated in a natural way with the use herbal treatment without side effects.
ReplyDelete8 casino apps for iOS & Android - DrMCD
ReplyDelete› 당진 출장안마 gaming-apps › 순천 출장안마 8-casino-app-and › gaming-apps › 8-casino-app-and Download 8 Casino app for iOS and 충청남도 출장샵 Android. Try out a series of casino games, 부천 출장안마 but it doesn't always have that special rating. Download and install the 안동 출장마사지