Doston, Technology me jis tezi se imrovement ho raha hai. usi tezi se hamari life me bhi lagatar improvement ho raha hai. alag alag tarah ki technology me skills badhakar aap apni padhayi aur apne career me achha maqaam hasil kar sakte hain.Technology se door rehne wale log jitna isse door rehte hain utna hi woh peechhe reh jate hain.isliye kuchh nayi skisls seekhen aur ek smart tareeqe se technology ka istemaal karen.
Technology ka padhayi me istemaal:~
aajkal jo digital media hai woh student focused hota ja raha hai, khaas taur se cities me student technology ka use tamam online resources ke liye karte hain. ye technology ka hi kamaal hai ke aap har waqt apne doston aur apne teachers se connect rehte hain.Aamtaur par ham apne school, college, ya phir apne mohalle ke logon se hi dosti kar pate hain, jabki technology ki madad se aap puri duniya me kahin bhi rehne wale logon ko apna dost bana sakte hain.
ab to teachers apne student ki writing skills improve karne ke liye social media ka use karte hain.dar'asl social media par kuchh likh kar aap apni skill ko lagatar nikhar sakte hain. aur uske baad is skill ka istemaal apne school me bhi kar sakte hain.aajkal teachers apne students ke social media post check karte rehte hain, aur achhe post par comment karke unka hausla bhi badhate hain. is tarah students ke social media communication aur class room communication me sudhaar aata hai.
aajkal bohot se schools me imo, skype, hangout,aur aisi hi doosri sites ke zariye bahar ke experts ke sath video conferencing bhi ki jaati hai.is tarah schools me conferencing ke zariye outside experts ke tips students ke liye available karaye jaate hain.Agar aapke schools me ye sab facilities nahi hain to aap apne school management se iski demand karke apne liye available karayen.
aap apne tablete,ipad,aur smart phone ka use animation,painting,drawing seekhne ke liye kar sakte hain.aur aap apne school ke lab computer par graphic designing,web designing,corel draw, aur photo shop, jaise bohot se kaam ane wale programme seekh sakte hain.
Technology ka aam istemaal:~
Digital media aur technology ke zamane me ab kuchh bhi mushkil nahi hai, agar aap koi kaam seekhna chahte hain aur aap ke paas time nahi hai to aap apne raaste ke time ka istemaal karke bus ya metro me aate jate apne kaam ki videos dekh kar new skills seekh sakte hain. ya iski website ke zariye online padhayi bhi kar sakte hain.
kaise use karen keyboard function keys behtareen tips.
aaajkal bohot si aisi apps hain jinke zariye aap online kharidari kar sakte hain aur apna bohot sa time bacha sakte hain. internet par maujood bohot si apps se aap apni padhayi me bhi madad le sakte hain. Technology aur social networking sites ki madad se aap kisi samajik kaam ke liye chanda bhi jama kar sakte hain, ya phir aap koi mission chala sakte hain, jaise safayi mission,dahej mission, global warming mission kuchh bhi jo aap chahen. iske liye aapko facebook aur whatsapp aur aisi doosri social sites pe group banane honge.
kaise karte hain android mobile ko reset ya format.
10 excellent tips android mobile ki safety ke liye
technology ke istemaal ki khwahish buzurgon me bhi:~
hamare buzurg bhi ab is baat ko samjhne lage hain ke technology ke behter istemaal se zindagi asaan ho sakti hai. aapne dekha hoga kai baar kuchh log apne nati poton se mobile chalana seekhte hain,aur iska unhen fayeda bhi hota hai.woh kisi jagah apne aapko akela mehsoos nahi karte, kyunki ab woh bhi apne bachhon,doston,aur relatives se connected rehte hain.
Technology ke online istemaal ke kuchh smart tips
1. Apni skills ko behtar banane ke liye library ya schools me free computers ka fayeda uthayen.
2. Aap Ebooks ya audio books download karen jo free ya phir bohot hi kam Qeemat me mil jati hain unse ziyada se ziyada fayeda uthayen.
3. agar aap internet se kuchh copy karke word file me paste kar rahe hain to usko sahi format aur font me rakhne ke liye word painter ka use karen jo word ke home tab me upar bayin taraf hota hai.
4. kuchh libraries ke mobile apps hote hain unko zaroor download karen.
5. school ya society ke behtareen doston ki ek community banayen, jahan aap apni skills ko share aur improve kar saken.
6. News paper online padhen jisse ki koi article pasand ho to download kiya ja sake.
7. jab bhi social media par kuchh post karen to achhi tarah soch samajh kar karen, ke ye matter post karne ke qabil bhi hai ya nahi.
8. kisi bhi jagah social media ka istemaal karne ke baad usko logout zaroor karen.
9. secure domen ke bare me jaankari rakhen, jaise ke dot edu kisi school ya college ki website ho sakti hai. dot org kisi adhikarik organisation ki site hoti hai.aur dot gov kisi sarkari vibhag(shobe) ki site hoti hai.
10. online learning classes ke zariye web designing,graphic designing ya digital photo seekhen.
11. agar aap online banking kate hain to payment karne se pehle dekh len ki uske web address me http ke sath s bhi juda hai ke nahi. address me http ke baad s ka matlab secure site se hai.
12. Aur ek khaas baat jab aap raat ko so rahe hon to apne mobile ya tablete ko switch off karke soyen, isse apke device ki battrey life behtar bani rehti hai.
0 comments:
Post a Comment