Thursday, 28 January 2016

10 Excellent tips android mobile ki safety ke liye.

Aap bhi jaaniye image



Doston hamare mobile me kabhi kabhi kuchh kharabiyan sirf is wajah se aati hain kyunki ham mobile istemaal karne me laparwahi se kaam lete hain .jiska result yeh hota hai ke ya to mobile me virus aajata hai ya battery warranty period se pehle kharab ho jaati hai ya phir doosri koi kami aajati hai.To chaliye aaj baat karte hain apne android mobile ki safety ki. agar ham neeche likhe 10 tips ka istemaal karen to ham apne mobile ko safe rakh sakte hain.

kaise pata karen kisi mobile number ke owner ka naam

kaise karte hain android mobile ko reset ya format

1~ charger sirf original hi use karen.

kai bar aisa hota hai ke ham kisi kaam se kahin bahar jate hain to apne android mobile ka charger ghar bhool jate hain, aur phir ham kaam chalane ke liye koi bhi sasta sa charger le kar mobile charge kar lete hain. aise charger ki output hamare android mobile ke according nahi hoti jisse hmara mobile kharab ho sakta hai.isliye kisi achhi company ke charger ka istemaal karen.

2~ Apne mobile me pinlock ya password lock use karen.

Waise to sabhi log apne android mobile me simple screen lock ka istemaal karte hain, lekin kya aapne socha hai ke agar aapka mobile kabhi kho jaaye to is lock ko koi bhi aasani se khol sakta hai aur aapke data ka ghalat istemaal kar sakta hai. jabki password lock ya pinlock me aisa hone ke chances bohot hi kam hote hain.

3~ Bluetooth on sirf zarurat ke waqt karen.

kya aap jaante hain ke bluetooth on hone par aapke phone ko hack kiya jaa sakta hai. kucch log baghair zarurat bhi apne mobile ka bluetooth on rakhte hain. aap zarurat padne par bluetooth on karen, nahi to off rakhen.

4~ mobile ka remote control function use karen.

remote control function ka fayeda ye hai ke agar aapka mobile gum ho jaye to ye aapke mobile ka GPS use karke uski location aapko batata hai jisse aap aasani se mobile dhoond sakte ho. aur ye aapke data ko safe rakhne me bhi madad karta hai.
aap bhi jaaniye image


5~ Apne mobile me ek achha antivirus zaroor rakhen.

 agar aap android mobile use karte hain to bina internet ke aapka guzara mushkil hai, aur internet hai to virus to kabhi na kabhi aa hi jate hain.iske liye aapko ek behtareen antivirus apne android mobile me install rakhna chahiye. 



6~ cheap aur ghatiya memory card use na karen.

hamesha achchi company ke memory card hi use karen. market me bohot se cheap memory card bhi milte hain jinhe ham lalach me khareed lete hain.cheap aur ghatiya memory card ki wajah se mobile hang hone lagta hai. aur woh memory card bohot jaldi kharab bhi ho jaate hain.

7~ Backup zaroor rakhen apne mobile ka.

kabhi kabhi hame apne android mobile ko reset ya fomat karna padta hai tab hamare mobile ka data bhi format ho jata hai. lekin backup rakhne par aap apna sara data wapas paa sakte hain.

8~ applications google play se hi download karen.

aksar log apne android mobile ke liye apps downloading unbelievable sites se kar lete hain jahan se spyware aur malware bhi sath me aajate hain. jabki google play par aap safe aur virus free apps download kar sakte hain.

9~ Unneeded apps download karne se bachen.

kai baar kuchh log baghair zarurat ke apne mobile me apps download karte rehte hain, jisse virus aane ka khatra bhi ziyada rehta hai aur mobile ki speed bhi bohot kam ho jati hai. isliye sirf zaruri apps hi apne mobile me rakhen. aur jis app ki zarurat ho wohi download karen.

10~ Apne data ka Cloud backup bhi rakhen.

agar kabhi aapka mobile kharab ho jaye to cloud backup se apka data apko wapas mil jayega. aajkal cloud service bohot achhi aur free service deti hain jahan aap apne data ka cloud backup le sakte hain.


doston post achhi lagi ho to share zaroor karen....



0 comments:

Post a Comment