Saturday, 13 February 2016

daily paneer khayen budhapa (age effect) door bhagayen.

aap bhi jaaniye image
Doston ham sabhi ye chahte hain ke umr badhne ke sath sath ham sehetmand  rahen aur ham par budhape ka koi asar na ho.iske liye khane peene me ham bohot se aise foods shamil karte hain jinse hamari sehet barqaraar rahe. aisa hi ek food hai paneer(cheese), aaiye jaante hain paneer ke istemaal se kaise ham budhape(age effect) ke asar ko kam kar sakte hain. aur ek behtareen sehetmand life enjoy kar sakte hain.

Paneer me vitamin B, B12, A, D ,calcium aur phosphorus yani jo doodh me paya jata hai wohi sab isme maujood hota hai. paneer ek aisa tasty food hai ke isko har koi pasand karta hai.iska pheeka pheeka zayeqa sabko achha lagta hai.iski koi qaid nahi hai ke aap isko kaise khayen ye har tareeqe se fayedemand hai.

aaiye main aapko batata hun kuchh aisi kamiyan jinki wajah se budhapa ham pe asar andaaz hone lagta hai. aur sath me ye bhi jaane ke paneer khane se in kamiyon me kaise fayeda hota hai.

Waqt rehte jaanch se phephdon (lungs) ke cancer ko de sakte hain maat.

Sardi ke mausam me dama (asthma) ko kaise control karen.

aap bhi jaaniye imageHaddiyan kamzor ho jana.
Paneer me paya jane wala phosphorus,zinc,vitaminA,aur calciam ye sab hamare jism ki haddiyon ke liye fayedemand hain. isme vitamin B hota hai jo jism me calciam ki kami ko pura karta hai.paneer me maujood omega3 fatty acid haddiyon ko mazboot bana kar arthritis se hone wali bimari se hifazat karta hai.

Daant tootne lag jana.
Paneer me calcium kafi miqdaar me hota hai, jisse hamre daanton ko mazbooti milti hai. aur sath hi isme lactose bohot kam hota hai isi liye paneer daanton ko nuqsaan nahi ponhchta, paneer ka istemaal salvia ke circulation ko badhata hai jiski wajah se daant saaf rehte hain.

Gathiya baaye ho jana.
Agar aap paneer ka istemaal karte hain to gathiya baaye se aap bache reh sakte hain, isme maujood calcium aur protein gathiya baaye ko rokta hai. gathiya baaye ke mareez bhi iska istemaal kar sakte hain.

Blood pressure high/low problem ho jana.
Paneer ka istemaal blood pressure ko bhi control karta hai, jo umr badhne ke sath saht hone wali ek aam bimari hai.


Neend kam ho jana.
Agar aap raat ko sote waqt paneer kha kar sote hain to ye apki neend ko behtar kar deta hai,paneer me tryptophan amino acid hota hai jo tanaw ko kam karke achhi neend lane me bohot ziyada help karta hai.aur jo log puri neend sote hain un par umr ka asar jaldi zahir nahi hota.

Depression badh jana.
Paneer me tryptophan amino acid hone ki wajah se ye depression aur stress ko bhi kam karta hai,jisse apka mood fresh ho jata hai aur aap dil lagakar apna kaam behtar tareeqe se karte hain.

Cancer problems ho jana.
Paneer me paye jane wale sabhi high quality protein breast cancer hone se rokte hain, paneer me maujood conjugated linoleic acid cancer ko khatm karne me aham role ada karta hai.

Motapa had se ziyada badh jana.
Paneer me calcium aur protein ka ek bada khazana hota hai.aur sath me linoleic acid inta ziyada hota hai jo jism ki badhi hui charbi ko kam karke motape se nijaat dilata hai. mote logon ko khaas taur se paneer ka istemaal karna chahiye.

Digestive system kamzor ho jana.
Digestive system ki kamzori door karne ke liye rozana paneer khayen, isme maujood fiber digestive system ko mazboot karta hain. sath hi iska rozana istemaal hamari immunity power ko strong banata hai, jisse bimariyon se ladne ki taqat badh jati hai aur jaldi se koi bimari nahi hoti.

Diabetes ho jana.
Paneer khane ka ek fayeda ye bhi hai ke ye diabetes ko rokta hai. diabetes ke mareezon ko iska istemaal zaroor karna chahiye.

Calcium ki kami ho jana.
Aksar pregnant ladies me calcium ya phosphorus ki kami ho jati hai, aur pregnancy me inki kami se bachhe ki growth par bura asar  padta hai.pregnant ladies ko paneer ka iistemaal karna chahiye,bachhe ki paidaish me asaani ke liye bhi ye fayedemand hai.

Agar aap rozana paneer ka istemaal karte hain to budhapa apke nazdeek nahi ayega aur khila khila chehra aapki pehchaan ban jayega.

Doston aapko ye jaankari pasand aye to share zaroor karen.

Thursday, 11 February 2016

hidden camera dhoonden smartphone app se.

aapbhijaaniye

Doston yeh to ham sabhi jaante hain ke aajkal har ek kaam me technology ka istemaal hone laga hai. baat karte hain "hidden cameras" ki, pehle ham dekhte they ke hidden cameras ka istemaal sarkari daftaron,banks,atm aur aisi hi doosri jagahon par kiya jata tha. lekin phir inka istemaal har jagah hone laga dukandar apni dukano par, factory malik apni factory me workers par nazar rakhne me karne lage, aur ab to inka istemaal sadkon par chaurahon par logon ki harkaton pe nazar rakhne ke liye bhi hota hai. yahan tak to sab thik hai ke iske istemaal se bohot sare fayde hain aur ye sab istemaal sahi hain.lekin zara sochiye ke agar in cameras ki madad se koi aap par khufiya nazar rakhe to kya aapko ye sahi lagega?

kai bar aisa hota hai ke ham apni family ke sath kahin jate hain. jahan par hamen kisi nai jagah ya kisi relative ke yahan  ya phir hame kisi hotel waghairah me rukna padta hai... kuchh log apne rooms me hidden cameras fit rakhte hain yeh to woh log hi jaane ke woh aisa kyun karte hain lekin ham me se koi bhi nahi chahega ke hamari privcy me koi dakhal andazi kare. ab ham ye kaise pata lagayen ke us jagah ya us room me koi hidden camera to fit nahi hai.aur koi ham par nazar to nahi rakh raha hai. agar hamen koi aisa treeqa pata chal jaye jisse ham us chhupe huye camera ko dhoond saken to kitna achha ho. ji haan doston aaj main aapko hidden camera ko dhoondne ka tareeqa batata hun jo bohot aasan hai.

iske liye aapko ek application"hidden camera detector" download karni padegi. ye application aap google play store se free me download kar sakte hain. isko apne smart phone me install karen.phir jab zarurat ho to application ko run karke  phone hath me lekar us jagah chakkar lagayen jahan aap hidden camera ko dhoondna chahte hain. . agar apka smart phone koi red signal deta hai to iska matlab hai ke wahan par koi electronic device maujood hai.

kaise pata karen kisi mobile number ke owner ka naam.

10 excellent tips android mobile ki safety ke liye.


hidden camera ke aas paas maujood hone par apke smart phone ki screen par ek laal rang ka nishan dikhayi dega. ab aap us area me achhi tarah talash krke us hidden camera ko kisi bhi cheez tap,kaghaz ya kisi kapde se dhak sakte hain.

yeh application (hidden camera detector) aap iphone me bhi install kar sakte hain. lekin ye iphone ke liye free nahi hai, aap iTune se isko 350 rupees me khareed sakte hain.

agar post achhi lagi ho to share zaroor karen, aur hamen subscribe bhi kren.

Thursday, 28 January 2016

10 Excellent tips android mobile ki safety ke liye.

Aap bhi jaaniye image



Doston hamare mobile me kabhi kabhi kuchh kharabiyan sirf is wajah se aati hain kyunki ham mobile istemaal karne me laparwahi se kaam lete hain .jiska result yeh hota hai ke ya to mobile me virus aajata hai ya battery warranty period se pehle kharab ho jaati hai ya phir doosri koi kami aajati hai.To chaliye aaj baat karte hain apne android mobile ki safety ki. agar ham neeche likhe 10 tips ka istemaal karen to ham apne mobile ko safe rakh sakte hain.

kaise pata karen kisi mobile number ke owner ka naam

kaise karte hain android mobile ko reset ya format

1~ charger sirf original hi use karen.

kai bar aisa hota hai ke ham kisi kaam se kahin bahar jate hain to apne android mobile ka charger ghar bhool jate hain, aur phir ham kaam chalane ke liye koi bhi sasta sa charger le kar mobile charge kar lete hain. aise charger ki output hamare android mobile ke according nahi hoti jisse hmara mobile kharab ho sakta hai.isliye kisi achhi company ke charger ka istemaal karen.

2~ Apne mobile me pinlock ya password lock use karen.

Waise to sabhi log apne android mobile me simple screen lock ka istemaal karte hain, lekin kya aapne socha hai ke agar aapka mobile kabhi kho jaaye to is lock ko koi bhi aasani se khol sakta hai aur aapke data ka ghalat istemaal kar sakta hai. jabki password lock ya pinlock me aisa hone ke chances bohot hi kam hote hain.

3~ Bluetooth on sirf zarurat ke waqt karen.

kya aap jaante hain ke bluetooth on hone par aapke phone ko hack kiya jaa sakta hai. kucch log baghair zarurat bhi apne mobile ka bluetooth on rakhte hain. aap zarurat padne par bluetooth on karen, nahi to off rakhen.

4~ mobile ka remote control function use karen.

remote control function ka fayeda ye hai ke agar aapka mobile gum ho jaye to ye aapke mobile ka GPS use karke uski location aapko batata hai jisse aap aasani se mobile dhoond sakte ho. aur ye aapke data ko safe rakhne me bhi madad karta hai.
aap bhi jaaniye image


5~ Apne mobile me ek achha antivirus zaroor rakhen.

 agar aap android mobile use karte hain to bina internet ke aapka guzara mushkil hai, aur internet hai to virus to kabhi na kabhi aa hi jate hain.iske liye aapko ek behtareen antivirus apne android mobile me install rakhna chahiye. 



6~ cheap aur ghatiya memory card use na karen.

hamesha achchi company ke memory card hi use karen. market me bohot se cheap memory card bhi milte hain jinhe ham lalach me khareed lete hain.cheap aur ghatiya memory card ki wajah se mobile hang hone lagta hai. aur woh memory card bohot jaldi kharab bhi ho jaate hain.

7~ Backup zaroor rakhen apne mobile ka.

kabhi kabhi hame apne android mobile ko reset ya fomat karna padta hai tab hamare mobile ka data bhi format ho jata hai. lekin backup rakhne par aap apna sara data wapas paa sakte hain.

8~ applications google play se hi download karen.

aksar log apne android mobile ke liye apps downloading unbelievable sites se kar lete hain jahan se spyware aur malware bhi sath me aajate hain. jabki google play par aap safe aur virus free apps download kar sakte hain.

9~ Unneeded apps download karne se bachen.

kai baar kuchh log baghair zarurat ke apne mobile me apps download karte rehte hain, jisse virus aane ka khatra bhi ziyada rehta hai aur mobile ki speed bhi bohot kam ho jati hai. isliye sirf zaruri apps hi apne mobile me rakhen. aur jis app ki zarurat ho wohi download karen.

10~ Apne data ka Cloud backup bhi rakhen.

agar kabhi aapka mobile kharab ho jaye to cloud backup se apka data apko wapas mil jayega. aajkal cloud service bohot achhi aur free service deti hain jahan aap apne data ka cloud backup le sakte hain.


doston post achhi lagi ho to share zaroor karen....



Tuesday, 26 January 2016

kaise karte hain android mobile ko reset ya format.

Aap bhi jaaniye image



Doston agar aaj ke daur ko android daur kaha jaye to ghalat na hoga. ham sabhi chahte hain ke hamare mobile me har ek latest app maujood ho aur ham apne doston se kisi bhi tarah pichhe na rahen. isi wajah se kabhi kabhi ham apps ya game download karne ke chakkar me apne mobile me virus jama kar lete hain. virus kisi bhi electronic device ko aise nuqsaan pohchate hain jaise hamare jism ko bimari. virus se infected mobile ke function thik tarah se kaam nahi karte. is pareshani se bachne ke liye kai bar hame phone ko format karna padta hai. aur uske bad phone dobara reset hokar naye phone ki tarah kaam karne lagta hai.

Aaiye ab apko phone reset karne ka tareeqa batata hun:~

Sabse pehli baat, phone reset karte time yad rakhen agar aapke contact number aapke sim card me hain to aap apna sim card phone se nikaal lijiye. kyunki reset hone par phone ka sara data jisme contact, sms sab format ho sakte hain. 

:~ Sabse pehle apne phone ke MENU ko open kijiye.

:~ Ab aap MENU me se  SETTING par click karen.

:~ Ab aap PRIVACY SETTING me  FACTORY DATA RESET par click karen.

:~ Yahan par aapko dhiyan rakhna hai ke SD CARD format na ho iske liye aap FORMAT SD CARD se tik mark hata den.

:~ Ab aap RESET PHONE par click karen.

:~ Is tarah  aapka phone kuchh time me reset ya format ho jayega.

Agar aapko is tarah phone reset karne me koi mushkil hoti hai to aap ek code ke zariye bhi apna phone reset kar sakte hain. aap *2767*3855#  dial karke OK ka button press karen. aapka phone reset ho jayega . lekin is tareeqe me bhi aap sim card aur sd card zaroor nikaal len.

Aapko ye jaankari pasand aayi ho to apne doston me bhi share karen, aur updates pane ke liye hame subscribe karen.

Monday, 25 January 2016

kaise use karen keyboard function keys behtareen tips.

Aap bhi jaaniye image
Agar aap ne abhi naya laptop ya pc khareeda hai to aapne dekha hoga uske keyboard me sabse upar ek line me 1 se lekar 12 tak yani F1, se F12, tak buttons hote hain. kya aap jaante hain ke ye kyun hote hain? aksar new user ke liye ye samajhna mushkil hota ke inka istemaal kahan hota hai.chaliye is post me apko batate hain ke ye kyun hote hain aur inka istemaal kahan aur kab hota hai.

dar'asl inhen function keys kaha jata hai, jab ham computer par kaam karte hain tab agar ham inka istemaal karen to hamare kaam ki speed bohot ziyada fast ho jati hai, aur kaam bhi asaan tareeqe se hota hai.

Aaiye sabse pehle jaante hain F1 ka use.:~

>> Agar computer ko switch on karte hi us ke fauran bad is key ko click karenge to computer ka setup (CMOS) khulega. yahan par aap sensitive computer settings ko dekh sakte hain aur agar usme koi changing karna chahen to kar sakte hain.

>> Windows kholne ke bad agar is key par click karte hain tab windows help and support dialogue box khul jata hai. jahan par basic problems ke solutions apko mil jayenge.

>> Agar aap google chrome browser use karte time is key ko click karenge to aapke saamne google chrome ka help center page open ho jayega.

>> Microsoft word me agar ctrl+F1 click karenge to software full screen mode me badal jata hai. isi key ko dobara click karne par wapas pehle mode me aajata hai.

>> Internet explorer browser istemaal karte time is key ko click karne par is browser ka help page open ho jata hai.

Aaiye ab jaante hain F2 ka use:~

>> Agar aap windows me kisi file,folder, ya kisi icon ko rename karna chahte hain to file ya folder par click karne ke bad F2 click karne par us file ya folder ko aap fauran rename kar sakte hain.

>> Agar aap microsoft word me kisi document ka print view check karna chahte hain ke ye print hone par kaisa dikhega to F2 key par click karen aapke samne print view page open ho jayega.

>> Microsoft word me hi agar aap file open dialogue box kholna chahte hain to Alt+Control+F2 par click karen.

Ab jaante hain F3 ka use:~

>> Jab aap windows use kar rahe hon aur aap kisi file ya folder ko dhoondne ke liye search box open karna chahen to F3 par click karen.

>> Agar aap microsoft word me kisi english matter ko select karke usko upper case ya lower case me badalna chahte hain to Shift+F3 par click karen.

>> Microsoft doss ya command prompt window me agar aap pehle se type ki hui command dobara type karna chahte hain to F3 par click karen.

10 excellent tips android mobile ki safety ke liye

Technology ke behtar istemaal se karen life improve

Ab jaante hain F4 ka use:~

>>  Internet explorer me F4 click karne par website ka url daalne ke liye address bar open hoti hai.
computer aur my computer etc me bhi ise click karne par address bar open hoti hai.

>> Agar aap internet explorer ke andar khuli hui kai tabs me se maujooda tab ko band karna chahte hain to Control+F4 par click karen. aur agar aap kisi software me kai document me se ek ko band karna chahte hain to bhi Control+F4 key par click karen maujooda document band ho jayega.

>>  Agar aap Alt+F4 par click karenge to woh software band ho jayega jo filhaal khula hua hai.

>> Agar aap microsoft word me F4 par click karenge to jo kaam aapne abhi abhi kiya tha woh repeat ho jata hai. Example:~ agar aapne koi text bold kiya hai to woh phir se normal aur phi se bold ho jayega, ya aapne koi word type kiya hai to woh dobara type ho jata hai, aur agar aapne table banayi hai to ek table aur ban jayegi.

Ab jaante hain F5 ka use:~

>> Is key ka istemaal refresh ke taur par ziyada hota hai. aksar windows me ham koi folder copy karte hain aur woh dikhayi nahi deta to F5 click karne par nazar aane lagta hai.internet browsers me khule huye pages ko refresh ya reload karne ke liye is key ka istemaal kafi hota hai.

>> Agar aap photo shop me F5 par click karenge to apke samne kai tarah ke brush ajayenge jinme se aap apni pasand ka brush chun sakte hain.

>> Agar aap Microsoft Execl me Shift+F5 click karenge to Find and Replace option khul jayega.

>> Isi tarah Microsoft word me F5 click karnne par Find and Replace dialogue khul jata hai.

>> Agar aap power point me F5 click karenge to slide show chalu ho jayega.

kaise karte hain android mobile ko reset ya format

Ab jaante hain F6 ka use:~

>> Windows task bar me khule huye folders ke materials ko dekhne liye F6 par click karen.

>> Agar aap internet browser me is key par click karenge to cursor address bar me chala jayega. jisse aap fauran address bar me web url type kar sakte hain.

>> Microsoft word me khule huye kai document ko agar aap ek ek karke dekhna chahte hain to Control+Shift+F6 key par click karen.

Ab jaante hain F7 ka use:~

>> Agar aap Microsoft word me koi document type karke uski spelling check karna chahte hain to F7 par click karen spelling check hona shuru ho jayrgi.

>> Agar aap internet explorer me F7 key par click karenge to caret browsing shuru ho jayegi.jiska use aap keyboard ke zariye web pages par text select karne, aur aage peechhe jane ke liye kar sakte hain.

Ab jaante hain F8 ka use:~

>> Agar aap computer start karte time F8 ko click karen to operating system ko open karne ke liye kai mode apke saamne show honge. jinme safe mode aur command prompt bhi shamil hote hain.

>> Agar aap microsoft word me text ko select karna chahte hain to F8 par click karen text select ho jayega.

>> Agar aap microsoft word me Alt+F8 par click karte hain to macro tayyar karne ki facility shuru ho jati hai, jiske zariye aap bar bar kiye jane wale kamon ko karne ke liye chhote chhote standing instructions record kar sakte hain.

ab jaante hain F9 ka use:~

>> F9 ka istemaal aap microsoft outlook me email bhejne,paane (send/receive) me kar sakte hain.

>> bohot se laptops me F9 click karke aap screen ki brightness bhi kam ziyada kar sakte hain.

>> quarkxpress me F9 click karne par measurement toolbar open ho jata hai.

Ab jaante hain F10 ka use:~

>> F10 click karne par kisi bhi software me menu bar active ho jata hai.

>> Agar aap Shift+F10 ko ek sath click karte hain to iska thik aisa hi effect ho hai jaisa mouse ke right click karne par hota hai.

 >> Internet explorer me ya kisi icon ya file me kisi link par Shift+F10 ko click karne par context menu open ho jata hai.

>> Agar aap microsoft word ki window ka size chhota ya bada (minimise/maximise)  karna chahte hain to Control+F10 ka istemaal karke kar sakte hain.

Ab jaante hain F11 ka use:~

>> Google chrome,internet explorer,mozilla etc kisi bhi browser me full screen ko active/passive karne ke liye F11 par click karen.

>> Microsoft office ke softwares me Alt+F11 click karne par visual basic code window open hoti hai is window ka istemaal expert user apne kaam karte hain.

Ab jaante hain F12 ka use:~

>> Agar aap microsoft word me is key par click karenge to save as.. dialogue box open ho jata hai.

>> Microsoft word me Control+Shift+F12 click kark khule huye document ko print kar sakte hain.

>> Agar aap microsoft word me document ko save karna chahte hain to Shift+F12 click karke save kar sakte hain.

doston ye jaankari agar achhi lagi ho to apne doston me share zaroor karen, aur aise hi hamare sath connect rahen. aur hamare new updates pane ke liye hame subscribe karna na bhoolen.....

Thursday, 21 January 2016

Technology ke behtar istemaal se karen life improve.

aap bhi jaaniye image

Doston, Technology me jis tezi se imrovement ho raha hai. usi tezi se hamari life me bhi lagatar improvement ho raha hai. alag alag tarah ki technology me skills badhakar aap apni padhayi aur apne career me achha maqaam hasil kar sakte hain.Technology se door rehne wale log jitna isse door rehte hain utna hi woh peechhe reh jate hain.isliye kuchh nayi skisls seekhen aur ek smart tareeqe se technology ka istemaal karen.

Technology ka padhayi me istemaal:~
aajkal jo digital media hai woh student focused hota ja raha hai, khaas taur se cities me student technology ka use tamam online resources ke liye karte hain. ye technology ka hi kamaal hai ke aap har waqt apne doston aur apne teachers se connect rehte hain.Aamtaur par ham apne school, college, ya phir apne mohalle ke logon se hi dosti kar pate hain, jabki technology ki madad se aap puri duniya me kahin bhi rehne wale logon ko apna dost bana sakte hain.

ab to teachers apne student ki writing skills improve karne ke liye social media ka use karte hain.dar'asl social media par kuchh likh kar aap apni skill ko lagatar nikhar sakte hain. aur uske baad is skill ka istemaal apne school me bhi kar sakte hain.aajkal teachers apne students ke social media post check karte rehte hain, aur achhe post par comment karke unka hausla bhi badhate hain. is tarah students ke social media communication aur class room communication me sudhaar aata hai.

aajkal bohot se schools me imo, skype, hangout,aur aisi hi doosri sites ke zariye bahar ke experts ke sath video conferencing bhi ki jaati hai.is tarah schools me conferencing ke zariye outside experts ke tips students ke liye available karaye jaate hain.Agar aapke schools me ye sab facilities nahi hain to aap apne school management se iski demand karke apne liye available karayen.

aap apne tablete,ipad,aur smart phone ka use animation,painting,drawing seekhne ke liye kar sakte hain.aur aap apne school ke lab computer par graphic designing,web designing,corel draw, aur photo shop, jaise bohot se kaam ane wale programme seekh sakte hain.
aap bhi jaaniye image

Technology ka aam istemaal:~
Digital media aur technology ke zamane me ab kuchh bhi mushkil nahi hai, agar aap koi kaam seekhna chahte hain aur aap ke paas time nahi hai to aap apne raaste ke time ka istemaal karke bus ya metro me aate jate apne kaam ki videos dekh kar new skills seekh sakte hain. ya iski website ke zariye online padhayi bhi kar sakte hain.

kaise use karen keyboard function keys behtareen tips.

aaajkal bohot si aisi apps hain jinke zariye aap online kharidari kar sakte hain aur apna bohot sa time bacha sakte hain. internet par maujood bohot si apps se aap apni padhayi me bhi madad le sakte hain. Technology aur social networking sites ki madad se aap kisi samajik kaam ke liye chanda bhi jama kar sakte hain, ya phir aap koi mission chala sakte hain, jaise safayi mission,dahej mission, global warming mission kuchh bhi jo aap chahen. iske liye aapko facebook aur whatsapp aur aisi doosri social sites pe group banane honge.

kaise karte hain android mobile ko reset ya format.

10 excellent tips android mobile ki safety ke liye

technology ke istemaal  ki khwahish buzurgon me bhi:~
hamare buzurg bhi ab is baat ko samjhne lage hain ke technology ke behter istemaal se zindagi asaan ho sakti hai. aapne dekha hoga kai baar kuchh log apne nati poton se mobile chalana seekhte hain,aur iska unhen fayeda bhi hota hai.woh kisi jagah apne aapko akela mehsoos nahi karte, kyunki ab woh bhi apne bachhon,doston,aur relatives se connected rehte hain.

Technology ke online istemaal ke kuchh smart tips
1. Apni skills ko behtar banane ke liye library ya schools me free computers ka fayeda uthayen.
2. Aap Ebooks ya audio books download karen jo free ya phir bohot hi kam Qeemat me mil jati hain unse ziyada se ziyada fayeda uthayen.
3. agar aap internet se kuchh copy karke word file me paste kar rahe hain to usko sahi format aur font me rakhne ke liye word painter ka use karen jo word ke home tab me upar bayin taraf hota hai.

4. kuchh libraries ke mobile apps hote hain unko zaroor download karen.

5. school ya society ke behtareen doston ki ek community banayen, jahan aap apni skills ko share aur improve kar saken.

6. News paper online padhen jisse ki koi article pasand ho to download kiya ja sake.

7. jab bhi social media par kuchh post karen to achhi tarah soch samajh kar karen, ke ye matter post karne ke qabil bhi hai ya nahi.

8. kisi bhi jagah social media ka istemaal karne ke baad usko logout zaroor karen.

9. secure domen ke bare me jaankari rakhen, jaise ke dot edu kisi school ya college ki website ho sakti hai. dot org kisi adhikarik organisation ki site hoti hai.aur dot gov kisi sarkari vibhag(shobe) ki site hoti hai.

10. online learning classes ke zariye web designing,graphic designing ya digital photo seekhen.

11. agar aap online banking kate hain to payment karne se pehle dekh len ki uske web address me http ke sath s bhi juda hai ke nahi. address me http ke baad s ka matlab secure site se hai.

12. Aur ek khaas baat jab aap raat ko so rahe hon to apne mobile ya tablete ko switch off karke soyen, isse apke device ki battrey life behtar bani rehti hai.

Tuesday, 19 January 2016

waqt rehte jaanch se phephdon (lungs) ke cancer ko de sakte hain maat.

aap bhi jaaniye image

Aaj kal  bhag daud se bhari zindagi me aksar hamare paas itna waqt nahi hota ke ham apni sehet ke liye thoda sa ghaur o fikr kar saken. lekin hamare paas bhale hi kitna bhi kam waqt ho, agar hame koi health problem hai to uski jaldi se jaldi jaanch karani chahiye. phephdon ka cancer ek aisi beemari hai jiska agar waqt rehte pata laga liya jaye to spacialist doctors aur modern madical technic ke zariye iske behtar result hasil hote hain.

hamare mulk me phephdon ke cancer ke mareezon me tezi se izafa ho raha hai. ek report ke mutabiq har saal taqreeban 63 hazaar log is beemari ka shikar ho rahe hain. aur sabse ziyada pecheeda masla to ye hai ke 80% mareezon ke is marz ki pehchan tab hoti hai jab cancer last stage me pohonch chuka  hota hai. aur ye woh stage hoti hai jahan iske theek hone ke imkaan kam hote hain. ziyada tar mareez phephdon ke cancer ko TB samajh lete hain kyunki unko TB aur phephdon ke cancer ka farq maloom nahi hota.

ek baat ka dhiyaan rakhen.
aksar dekhne me ata hai ke ghalati se phephdon ke cancer ko TB maan liya jata hai. jabki is marz ki sahi pehchaan aur ilaaj ke liye kisi tajarbekaar saans ke marz ke spcialist (pulmonologist) se mashwara liya jana chahiye.

iske liye jo jaanchen ki jati hain woh ye hain.

1.x-ray
2.C.T scan, aur  P.E.T.C.T scan
3.endoscopy aur biopsy !

iski pehchaan kya hai.

1. balgham me khoon aana
2. seene me dard
3. saans phoolna
4. khaansi aana
5. Aawaz me changing ho jana

iska ilaaj kaise hota hai.
sabse behtareen baat to ye hai ke phephdon ke cancer ki first stage me surgery karna ek kaamyab ilaaj hai. surgery ke dauraan phephde ke cancer wale hisse ko hataya jata hai. aur is ke liye ya to puraana tareeqa "open surgery technic" apnaya jata hai ya phir video assisted thoracoscopic surgary ( V A T S) ki jaati hai.

sardi ke mausam me dama (asthma) ko kaise control karen.

ab apko batate chalen ke V A T S me telescop aur kuchh khaas instrument  ka istemaal karke ek bohot chhote se cheere ke zariye keyhole surgery ki jaati hai, is tarah surgery karne me mareez ko dard bohot kam hota hai. aur mareez ko bohot jaldi aaram mil jata hai.

Jahan aajkal in sab tareeqon se ilaaj ho raha hai wahin phephdon ke cancer ke opration ultra modern robotic system(robot assisted surgery) se bhi kiye jaa rahe hain. is tarah ke opration ki sahooliyat abhi kuchh hi madical centers me available hai. kuchh mareez jo zyada kamzor hote hain ya kisi aur preshani ki wajah se unki surgery nahi ho sakti un mareezon ka radiation therapy machinon se ilaaj kiya jata hai. aur modern chemotherapy ki nai dawaiyon aur targated cancer therapy ke zariye jo ilaaj aajkal hota hai usse mareez ke zinda rehne ki ummeeden kafi had tak barh jaati hain. aur mareez bina tension apna ilaaj kar sakta hai.

aap bhi jaaniye image
ye to tha phephdon ka cancer ho jaane ke baad uski pehchaan aur ilaaj ke bare me, ab hum aate hain is baat par ke phephdon ka cancer hame na ho is se bachne ke liye kya ehtiyaat baratna zaroori hain.
doston sabse behtareen tareeqa to yehi hai ke ham smoking bilkul na karen. aur tambaku se bani har ek cheez se door rahen. aur jo log smoking karte hain woh bhi agar is buri adat ko chhor den to canscr ke panapne ka khatra hi khatm ho jaayega. aur ye zindagi jo ek anmol nemat hai iska bharpoor lutf uthayen.

doston post agar pasand aayi ho to share karna na bhoolen aur hame subscribe bhi karen. shukriya doston ek nai post ke sath phir aaunga. apna khayaal rakhiyega.