Isi silsile me shodhkartaon ne inke badhte istemaal se new generation me panap rahi Reedh ki haddi ki bimari ke liye agaah kiya hai.Unka kehna hai gardan jhuka kar lagataar mobile ya laptop use karne se Reedh ki haddi se related problems paida ho sakti hain. Gardan jhukaye rehne se Reedh ki haddi par Extra dabav padta hai. Aajkal youth ausatan 4 ghante rozana mobile, pc waghairah pe bitate hain. yani ki ek saal me ausatan 1400 ghante bachhe sar jhukaye rehte hain.
Americy Doctor Cathen Hansraj ka kehna hai ki sar neeche rakhne se gardan aur Reedh ki haddi par padne wala dabav kai guna barh jata hai. Insan ke sar ka wazan aam taur par 10 se 12 pound hota hai. sar ko 15 digri jhukane par ye 27 pound, aur 60 digri sar jhukane par 60 pound tak dabav banata hai.
Isse bachhon ko sar dard aur gardan mudne ki mustaqil pareshani ho sakti hai. is bimari ko Text Neck ka naam diya gaya hai.yeh preshani kai baar itni serious ho jati hai ki isse chhutkare liye opration karna pad jata hai,is adat se bachhon me dimagh ke stem cells bhi mutassir ho sakte hain. sath hi isse kuchh harmonal gadbadi hone ka khatra bhi rehta hai.
Agar ham apne upar aur apne bachhon par thoda control karen aur mobile ,pc, waghairah ke istemaal me ehtiyat barten to in sab problems se bacha ja sakta hai, khaas taur se un bachhon pe zaroor control karen jo abhi bohot chhote hain aur jinko mobile me game khelna achha lagta hai. aap unka ek time sat kar den ke apko itne time ke liye ijazat hai, baqi time me unko kisi jismani khel kood ki taraf intrest dilayen jo unke liye is umr me behad zaroori hai. bachhon ka ek sleeping time sat kar den usse ziyada unhen jaagne ki ijazat na di jaye. ho sake to unse raat ko mobile lekar aap apne paas rakhen. aur jahan tak ho sake unki health ka khayal rakhen....
doston apko post achhi lagi ho to ise share karen aur hame subscribe karna na bhulen. aur akhir me post parhne ke liye main apka shukriya ada karta hun
7409045734
ReplyDeletekiske number h kise k name h
ReplyDelete